Powered By Blogger

मंगलवार, 13 अक्टूबर 2015

लक्ष्मी-नारायण

 लक्ष्मी-नारायण
 
Lakshmi Narayan shabd ka prayog param pita parmatama tatha aadi shakti ke liye prayog kiya jaata hai. kuchh log ise bhagwan vishnu tatha unki sakti shree ke liye bhi prayukt karte hai. Bhagwan Narayan ya Vishnu ji ki pooja sadev unki sakti Lakshmi ke saath karni chahiye. Kalyug mai Bhagwan Ganesh, Lakshmi ji, Vishnu Bhagwan, Bhagvan Shiv, Ma Annpoorna, Ganga ji, Gayatri, Tulshi, Gau, Mata, Pita tatha guru ki seva pooja hi Samast sukh suvidhau ka sarvotam vidhan hai. Yaha mai ek saral sukshm tatha sadharan si vidhi likh raha hu jise koi bhi vyakti saralta ke kar sakta hai tatha iske adhbhut parina milte hai isme sansay nahi hai: Poojan Samgri: Ek Loata Jal Do Roti (Bina Namak Ki) us par kuch bhi meetha Ghee Ka Diya prabhat kaal soch/snan aadi se nivrat ho kar kahi bhi jaha surya rashmi aa rahi ho kushashan par poorvabhimukh ho kar beth jaye tatha sarv pratham apne guru ka dhyan kare (yadi guru nahi banaya ho to bhagwan Shiv ko guru maan kar unka dhyan kare) phir bhagwan Ganesh ka dhyan kare tatpaschat ma lakshmi sahit bhagwan vishnu ka dhyan kare is dhyan avashtha mai poorn nishtha tatha vishvash ke saath gayatri mantra ka mansik jap karte rahe (yadi gayatri mantra nahi jap sakte to aapni bhasa mai apne man me udrahe vicharo tatha abhilashau ko bhagwat charno mai mansik roop se kahe) tatpaschat tamr patr me rakha surya bhagwan ko arpit kar us jal mai se teen baar achman kare. gaay tatha kutte ko rooti daale. Yaha bina karm kand tatha bina mantro dwara ki jane wali pooja hai tatha swatah sidh hai parantu pooja kaal mai nimn baatau ka vishes dhyan rakhna hai: 1. Poorn Nishtha tatha Vishbas 2. Dhoomrpan Nishedh 3. Madh Paan Nishedh 4. Masa Ahar Nishedh Note: Yadi dhoomrpaan/ madhpaan/masa aahar ki praval eksha ho to do kali mirch do tulsi dal ganga jal ke saath lele tatha bhagwan ki prarthana kare kuchh din mai swatah eksha honi band ho jayegi. 5. Satya Bhasan 6. Kaam, Krodh tahta dwesh ka poorn tyaag
Yeh bahut saral tatha achook sadhana hai koi bhi kar sakta hai tatha achook parinam dene wali hai yadi poorn imandari se upar batayi gayi vidhi apnai jaye.

                                                                                                                                                                        radhekrishna

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें